Hum to khud hi pe hanste rehte hain.
Kal fursat ki talaash main khushiyan gawaan baithe the,
Aur aaj khushi ki talaash main fursat luta rahe hain.
Woh silsila jo suru hua bachpan se,
dard ab bhi barkarar hai.
Haalat kya hi batayein aapko,
Ab to neend main bhi formule hi nazar aate hain.
Aaj aur kal ka koi thikana nahin,
Na hai din, mahine, saalon ki koi khabar:
Pehle kitabon ke khatam hone ki ummed to thi.
Aaj kal to emails aur attachments hi khatam nahin hote.
Pichle maha-manavon ke mashware aaj bhi yaad hai,
'Bus yeh ek exam nikal lo beta, aage aish!!';
Un bhale puruson pe aaj kal itna pyaar aate hai ki,
Ek baar phir milne ki ummeed main hi jiye jaa rahe hain.