Hum pe kya beeti tumhein kya maalum,
bekhabar tum chal diye.
zindagi ki ek jhilak kya dikhi fir se,
besudh thehre hum reh gaye.
Ummeed ka saath to kabka chhod chuke the hum,
socha tha bardast ki aur jarurat nahin.
Magar kyun is mukaam pe khade hain fir se,
ki din ke ujaale main bhi khoye se reh gaye.
Khud hi ke yaadon se yun hua bair,
Doston main bhi dushmani khoj baithe hum.
Aur jin raaston se thi sabse jyada narfrat,
Anjaane unhin pe chalte reh gaye.
No comments:
Post a Comment